ash-aar mere yuun to zamaane ke liye hain kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain
ab ye bhi nahin thik ki har dard mita dein kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain aankhon mein jo bhar loge to kaanto'n se chubhenge ye khwaab to palako'n pe sajaane ke liye hain
dekhu'n tere haatho'n ko to lagata hai tere haath mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain
socho to badi cheez hai tahazib badan ki varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain
ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein ek shakhs ki yaado'n ko bhulaane ke liye hain
Maine Poochha rooh nikalti hai jism se kis tarha ? Haath usne haathon se chhuda kar dikha diya !
Maine Poochha mehshar se pehle qayamat hai kya ? Zindagi se usne meri ja kar dikha dia ! Maine Poochha ke ye hasad hai kya cheez ? Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia ! (Bhavesh Ajudiya)
Log padh lete hain Chehre se kahani DIL ki, Aap ko ati nahi baat Chupani DIL ki, Lamhe-Lamhe tere didar ki Hasrat hai, Chodiye ye to Adat hai Purani DIL ki, Maine Dhadkano ko bhi Seene main Chupa rakha hai, is kader humne sambhali hai Nishani DIL ki, Ankhen kuch kehati hain Lab kuch kehate hain, Itni Aasaan nahi her baat chupani DIL ki, Log her Baat ka Afsana bana dete hai, Sab ko acchi nahi ye Baat Batani DIL ki......
Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna, main ek nazar ko tarsoon aisa kabhi na karna, main pooch pooch haroon sau sau sawal karke, tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna, mujhe he milkar hasna mujhe he milkar rona, mujhse bichadh ke jeelo aisa kabhi na karna, tum chand ban ke rehna main dekhta rahunga, kisi roz tum na nikalna aisa kabhi na karna, tum chali jao to dekhun tmhara raasta, tum laut kar na aao, aisa kabhi na karna...
Dilkashi dekh kar is zamane ki, hame bhi aarju thi kuch kar dikhane ki, magar e gume dil tum naraj na hona, kyunki hume to aadat hai bas yo hi muskarane ki. tumne kabhi kosish hi nahi ki hume manane ki, or zid hamne bhi kar li tumse ruth jane ki, or rishto ke mayno ko bhala tum kya jano, kyunki tumhe to aadat rahi bas mujhe yo hi aazmane ki, teri yaadon ko kar chuka hu is dil se rukhsat, mujhe bhi chahat nahi hai ret per apna ghar basane ki.
Gairon ko apna kartey kartey , apno se door hogaye.... Ye kis kadar hum khud apne aap se majboor hogaye... Koi bata dey humein raasta apne ghar ka zara............ Ye kis tarah hum khud apne raahon se anjaan hogaye... Saanson ki rawani ko zindagi kehte kehte , lo hum dhadkano se door hogaye... Gairon ko apna kartey kartey , apno se door hogaye.. !!!
Nikalta Hi Nahi unka Wajood meri Yaad Se , Mil kyun Nahi Jata Akhir vo Kisi Fariyad Se , Kya Zaroori Hai Mai Roz Toot K Bikhra Karu , Na Le Mera Imtehan Is Andaz se ..........
Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi..Jeeney Ki Aadat Hogayee, Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne..Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye, Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney, Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye, Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke, Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee , Kaafile Nikal Gaye Humey Chhor Ke, Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye, Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan, Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Hogayee...
Mujh se milte hain to milte hain chura kar aankhen,..., Phir wo kis k liye rakhte hain saja kar aankhen,...,
Main unhen dekhta rehta hoon jahan tak dekhon,..., Ek wo hain k jo dekhen na utha kar aankhen,..., Us jaga aaj bhi betha hoon akela yarooo,..., Jis jaga chor gae thi wo mila kar aankhen,...,
Mujh se nazren wo aksar chura leta hai 'faraz',..., Main ne kaghaz per bhi dekhi hain bana kar aankhen,...,
Hoti hai jab kabhi barsaat mere aas-paas itni jor se uss pal tere saath ek baar bheegna chahati hu.....
dil mai rakhi hai muddaton se jo mohabbat ki kitaab woh tere saath baith ke baar-baar padhna chahati hu..... chhod ke gaya the tu jis gali ke khambe ke paas mujhe tanaha uss jagha ek baar main tujh se phir milna chahati hu...