Most Visited

Thursday, September 29, 2011

Tumhari yaadon ke chand...

Tumhari yaadon ke chand aansoo humari aankhon mein pal rahe hain !
na jaane kaise hain yeh musafir na ruk rahe hain na chal rahe hain !!

hum apni rooh.....


     Hum apni rooh tere jism me hi chhod aaye,
    Tujhe gale se lagana to ek bahana tha.

Ashaar mere yuun to Zamaane ke liye hain.

ash-aar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahin thik ki har dard mita dein
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanto'n se chubhenge
ye khwaab to palako'n pe sajaane ke liye hain

dekhu'n tere haatho'n ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahazib badan ki
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ek shakhs ki yaado'n ko bhulaane ke liye hain



                                      (Bhavesh Ajudiya)

Maine Poochha rooh nikalti hai jism se kis tarha ?

Maine Poochha rooh nikalti hai jism se kis tarha ?
Haath usne haathon se chhuda kar dikha diya !

Maine Poochha mehshar se pehle qayamat hai kya ?
Zindagi se usne meri ja kar dikha dia !

Maine Poochha ke ye hasad hai kya cheez ?
Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia !

                    
                                              (Bhavesh Ajudiya)

Tuesday, September 20, 2011

Log padh lete hain chehre se kahani Dil ki..

Log padh lete hain Chehre se kahani DIL ki,
Aap ko ati nahi baat Chupani DIL ki,
Lamhe-Lamhe tere didar ki Hasrat hai,
Chodiye ye to Adat hai Purani DIL ki,
Maine Dhadkano ko bhi Seene main Chupa rakha hai,
is kader humne sambhali hai Nishani DIL ki,
Ankhen kuch kehati hain Lab kuch kehate hain,
Itni Aasaan nahi her baat chupani DIL ki,
Log her Baat ka Afsana bana dete hai,
Sab ko acchi nahi ye Baat Batani DIL ki......

Sunday, September 18, 2011

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna,
main ek nazar ko tarsoon aisa kabhi na karna,

main pooch pooch haroon sau sau sawal karke,
tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna,
mujhe he milkar hasna mujhe he milkar rona,
mujhse bichadh ke jeelo aisa kabhi na karna,
tum chand ban ke rehna main dekhta rahunga,
kisi roz tum na nikalna aisa kabhi na karna,
tum chali jao to dekhun tmhara raasta,
tum laut kar na aao, aisa kabhi na karna...

Saturday, September 17, 2011

Nazuk mizaj hain wo itna....

Nazuk” Mizaj Hain wo itna k kuch na puchiye
“suna” hai unhay neend nahi ati apni dharkano’n k shor se

Friday, September 16, 2011

Dilkashi dekh kar is Zamane ki..

Dilkashi dekh kar is zamane ki, hame bhi aarju thi kuch kar dikhane ki,
magar e gume dil tum naraj na hona, kyunki hume to aadat hai bas yo hi muskarane ki.
tumne kabhi kosish hi nahi ki hume manane ki, or zid hamne bhi kar li tumse ruth jane ki,
or rishto ke mayno ko bhala tum kya jano, kyunki tumhe to aadat rahi bas mujhe yo hi aazmane ki,
teri yaadon ko kar chuka hu is dil se rukhsat, mujhe bhi chahat nahi hai ret per apna ghar basane ki.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...