bhikrey phoolon ko ghulshan mey jab jhuk jhuk kar tum chunti ho,
ae malan tum bhi phulon ki daali si lagti ho.
raasta chalney waaley tumko dekh kar ahein bhartey hain,
jab tum ithlaati, balkhaati nagin jaisi chalti ho
Ao baitho paas ghadi bhar mann ki pyass bhujaun mai,
sach kehta hun roop ki rani tum ganga jal lagti ho
Ankein pyaaley, gardan meena aur badan botal jaisa,
tum toh goya chalta phirta ek maikhana lagti ho
koi kaisey tumko mujhsey juda karega, socho toh,
tum toh mere mann key ander raani bankar rehti ho
maan liya jab tumney mujhko apna sajan apna Rafeeq,
phir kyun mujhsey roothi roothi begaani si rehti ho . .
zarra nawazi ka bahot bahot shukriya..zeeshan sb...god bless u.....
ReplyDelete