Most Visited

Showing posts with label hausla sher. Show all posts
Showing posts with label hausla sher. Show all posts

Sunday, January 5, 2014

Haalaat ke qadmon pe kalandar nahin girtaa ...






 Haalaat ke qadmon pe kalandar nahin girtaa,
Toote bhi jo taara, to zamin par nahin girtaa ... !

Girte hain samandar main bade shauq se daryaa,
Lekin kisi daryaa main samandar nahin girtaa ... !!

Samjhon waha phaldaar shajar koyi nahin hai,
Voh sahan ki jismein koi patthar nahin girtaa ... !!!

Hairaan hai kai roz se thehraa hua paani,
Talaab main ab kyun koyi kankad nahi girtaa ... !!!!

Iis banda-e-khuddaar pe nabiyon ka hai saaya,
Jo bhook main bhi luqma-e-tar par nahin girtaa ... !!!!!

kayem hai ae dost ab ye mere sar ke sutoon par,
Zalzala bhi aaye to meraa ghar nahin girtaa ... !!!!

 

Ba-ehtiyat chalna is safar par e kabir

Ba-ehtiyat chalna is safar par e kabir,
Aksar yahan log girkar sambhaltey nahi..

Ye aisi lau hai jo jala degi tumhey,
Log jaley bina yahan sikandar bantey nahi.

Bharosa rakh khuda par apney, tujhey shauhrat-e-mukaam milega,
Yahan uski raza key bina phool kabhi khiltey nahi.

Thursday, January 2, 2014

Waqt ney  kar diya majboor bahut us shaks ko
suna hai wo bhi shiddat-e-hausla rakhta tha !

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...