Most Visited

Thursday, December 22, 2011

kiya toota hay andar andar




kiya toota hay andar andar kiyon chehra kumlaya hay
tanha tanha ronay walo kon tumhay yaad aya hay

chupkay chupkay slug rahay thay yaad may un kee dewanay
ek taray nay toot k yaro kiya un ko samjhaya hay

Rang barangee is mehfil may tum kiyon itnay chup chup ho
Bhool bhee jao pagal logo kiya khoya kiya paya hay

sher kahan hay khon hay dil ka jo lafzon may bakhaira hay
dil k zakhm jala kar hum nay mehfil ko garmaya hay

ab shahzad ye jhoot na bolo wo itna bay dard nahi
apnee chahat ko bhee parkho gar ilzaam lagya hay



                                                                           (Muhammad Akhtar Shaikh)



tera paigham bhi zaruri hai

           



tera paigham bhi zaruri hai,
aur mujhey kaam bhi zaruri hai,
hai bada kaam ashk mey jeena,
aur ye kaam bhi zaruri hai.







Mein lafz lafz dhoond ke....


Mein lafz lafz dhoond ke thak bhi gaya 'Adam'
Woh phool de ke baat ka izhar kar gaya ...


                                                             

Zindagi mein do pal



Zindagi mein do pal koi maire pass na baitha 
Aaj sab maire pass baithe jaa rahe the 
Koi Tohfa na mila aaj tak mujhe 
Aur aaj phool hee phool diye ja rahe the
Do Qadam sath na chalne wale
Aaj Qafila bana kar chale ja rahe the 
Aaj maalum hua ki Mout itni haseen hoti hai
Aur hum the ke, yunhi Jiye Ja rahe the…!!


                                                       Submitted by-:
                                                                                                       (Tariq Nawaz)

Monday, December 19, 2011

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko

 
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabra mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhod Duu Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko
 
                                                                                                        (Muhammad Akhtar Shaikh)
 

Thursday, December 8, 2011

Badi tabdeeliya'n laya hoon



Badi tabdeeliya'n laya hoon apne aap meain lekin,
          Bas Tumko yaad karne ki woh aadat ab bhi Baqi hai......



Tuesday, December 6, 2011

Facebook Fever



Once a guy updated his status-
I'm going to sleep on terrace tonight
.
.
.
after sometime.......
.
.
.
.
53 mosquitos liked his status..!! : )

Hum to phool jaise the aag sa bana dala


Hum to phool jaise the aag sa bana dala
haaye is Zamane ne kya se kya bana dala
aao tum bhi paas aao roshni me nehla de
jisko chuh liya humne aayna bana dala 
tumse kya rakhe koi munsifi ki ummeede 
Qatl- e-aam ko tumne haadsa bana dala....

            

Sunday, December 4, 2011

Sach kahu mujhko ye unwaan bura lagta hai


Sach kahu mujhko ye unwaan bura lagta hai
Zulm sehta hua insaan bura lagta hai
kis kadar masroof hai ye duniya apni 
ek din thehre to mehmaan bura lagta hai
Mere Allah meri naslo'n ko zillat se nikaal
haath failaaye musalmaan bura lagta hai.

Saturday, December 3, 2011

College Life SMS



Dedicated to College Life of Last year -

"ek muddat baad milne wali kaid se azaadi per....
   kismat to dekho....
jab azaadi milne wali thi, tab pinjre se pyaar ho chuka tha " : )

Mil jaye uljhano se fursat


                                                        
                                                   
   "Mil jaye uljhano se fursat to zara sochiyega"

 ki

        "kya chirf fursaton me hi yaad karne ko dosti kehte hain??"

Thursday, December 1, 2011

Kyu Pada Pawar ko thappad


EK THA SARDAR,
BHAITHA THA BEKAR,
MEHANGAI SE THA LACHAR,
USKI MAA KO AAYA VICHAR,
KHILAYA USKO "SINDHI AACHAR" HO GAYA CHAMATKAR,
AUR PIT GAYA "SHARAD PAWAR"

Tuesday, November 29, 2011

Usne mera haal poocha hai

Usne phir mera haal poocha hai
kitna mushkil sawaal poocha hai
hichkioon ka ajeeb lehja tha
baat to taal taal poocha hai
tum mujhay chordh to na jaogey
wastay daal daal poocha hai
ansoon ki zubaa'n me usne
jitna poocha kamal poocha hai
kya kabhi mil saken gaye hum dono
mujhse mera khayaal poocha hai
din guzarta hai kis tarha mera
kaisey guzrega saal poocha hai ..!



bhikrey phoolon ko ghulshan mey jab


bhikrey  phoolon ko ghulshan mey jab jhuk jhuk kar tum chunti ho,
ae malan tum bhi phulon ki daali si lagti ho.

raasta chalney waaley tumko dekh kar ahein bhartey hain,
jab tum ithlaati, balkhaati nagin jaisi chalti ho

Ao baitho paas ghadi bhar mann ki pyass bhujaun mai,
sach kehta hun roop ki rani tum ganga jal lagti ho

Ankein pyaaley, gardan meena aur badan botal jaisa,
tum toh goya chalta phirta ek maikhana lagti ho

koi kaisey tumko mujhsey juda karega, socho toh,
tum  toh mere mann key ander raani bankar rehti ho

maan liya jab tumney mujhko apna sajan apna Rafeeq,
phir kyun mujhsey roothi roothi begaani si rehti ho . .


Saturday, November 26, 2011

One size fits all rabbit costume

One size fits all rabbit costume

Sa'Qi ne kuch mila na diya ho sharab me


Beautiful Ghazal of Mirza Ghalib

Gham e Hayaat ka

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita
Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha
Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do
Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada
Nibha
Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash
K Pass

Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha
Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir
Saans

Itnay Haseen Hathon Se
Mayyat Saja Raha Hai Koi....

Bharam rakho mohabbat ka

Bharam rakho mohabbat ka Wafa Ki “Shaan” Ban Jao
Kisi Pe “JAAN” De Do Ya Kisi Ki “Jaan” Ban Jao
Tumhare “Naam” Se Mujko Pukarain Ye “Jahan” Walay
Main Ban Jaon “Afsaana” Aur Tum “Unwaan” Ban Jao…

Sunday, November 20, 2011

Ishq mein yeh anjaam paaya hai


Ishq mein yeh anjaam paaya hai
Haath pair tute, muh se khun aaya hai
Hospital pauhnche to nurson ne farmaya
Baharon phool barsao Kisi ka mehboob aaya hai

Saturday, November 19, 2011

hum toh kuch bhi na kar sak'ke is zamaane me




hum toh kuch bhi na kar sak'ke is zamaane me
nakaami hi haath aayi mohabbat ke afsane me

unki mohabaton ke liye taras-te rahe um'r bher hum.....
unhe toh bus mazza tha mujhe satane me.. 

koshish toh bahut ki mera dard wo bhi samjhe lekin...
zindagi beet gayi unko ye baat samjhane me

muflisi se bhi kuch zindagi bher ka saath mera raha....
kuch unhe bhi guroor tha apne ameer ho jaane me
itni rooh-e-shiddat se unko chaha he......
ek umar bhi ab kum he unhe bhulane me

ab toh rasm-e duniya me mai jitna hasta hu......
phir bhi aankh se ashk chalak aate he gum chupane me

jab jism se nikal gayi jaan.."AMIR"
bahut der lagi unhe ye baat samjh paane me 



                                                                         (Amir Iqbal"Lucknawi')

Sunday, November 13, 2011

zindagi mey aisa bhi mere yaar hota hai



                                    Zindagi mey aisa bhi mere yaar hota hai,
                                   jo humey nai chahta ussey hi pyar hota hai,

                                    karwatein badaltey hain, neend bhi nahi aati,

                                    pyaar jab jawani mey pehli baar hota hai,

                                   dil dhadakta rehta hai, chain bhi nahi ata,

                                   jab kisi key aney ka intezaar hota hai,

                                   bheegi bheegi raaton mey sard sard mausam mey,

                                   dil kisi sey milney ko bekaraar hota hai,

                                   khud ko jo bachata hai har ghadi ghunahon sey,

                                  darasal wahi saccha deendar hota hai

                                  har kadam par jo banda neekiyan kamata hai,

                                  wo khuda ki nazron mey maaldar hota hai,

                                  pehli baar jo guzrey lamha kisi ki kurbat mey 

                                  e- rafique wo lamha yaadgar hota hai.      











                           

JUST ANOTHER DAY




THE AUTUMN SUN SHINES IN THE SKY
THERE'S SO MUCH BEAUTY I CAN SEE
NOT EVEN THIS CAN MAKE ME SMILE
SINCE I HAVE SET YOU FREE

JUST ANOTHER DAY

MY BODY IS  SO EXHAUSTED
FROM CRYING AL NIGHT LONG
MY TEARS HAVE DRIED UPON MY FACE
 I FOUND THAT YOU'VE DONE WRONG

JUST ANOTHER DAY

I HAVEN'T GOT A HEAVY HEART
I HAVE NO HEART AT ALL
THERE'S NOTHING LEFT INSIDE OF ME
COS YOU, YOU'VE TOOK IT ALL

JUST ANOTHER DAY

I SEE YOUR FACE BEFORE ME
FOR ONCE DON'T MEAN A THING
YOUR SECRETS AND YOUR LIES
HAVE RUINED EVERYTHING

JUST ANOTHER DAY

THE MOON AND STARS COME OUT
TO LIGHT THE LOVERS' SKY
BUT ALL I SEE IS DARKNESS
SINCE I SAID TO YOU "GOODBYE"

FOR ME...IT'S JUST ANOTHER DAY

                                                              By:- Maureen Campbell 

Saturday, November 5, 2011

Tum aao to hum bhi Eid karen



Tum aao to hum bhi Eid karen

Hasrat hai tumhari deed karen
Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen
Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai
Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen
Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain
Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

zara sa muskura dena


zara sa muskura dena Tum Abb is EID Sy Pehle
Her Ek Gham Ko Bhoola Dena Tum Abb is EID Sy Pehle
Kitaabon Mein Sajaa Lena Zara Do Chaar Phulon Ko
Hawaaon Ko bhi Sazaa Dena Tum Abb is EID se Pehle
Mere Sab Sher Sab Nazmein Kisi Ko ab Sunaana Matt
Mere Sab Khatt Jalaa Dena Tum ab is EID Se Pehle
Hazaaron Meel Ki Duri Sahi , Pr men Lout Aaonga
Mujy Dil Se Sadaa Dena Tum Abb is EID Se Pehle
Agar Milna Humara Or Tumhara Kuch Mumkin Ho To
Kuch Aanso Bahaa Dena Tum Ab is EID Se Pehle

Saturday, October 29, 2011

mujhko zamane se ab nahi darna hai

mujhko zamane se ab nahi darna hai..
pyar me jeena hai pyaar me marna hai
Tu hi meri manzil tu mera rehbar...
tere ishare pe hadd se guzarna hai
pyar me jeena hai pyar me marna hai..
mujhko zamane se ab nahi darna hai
haaye tere waade haaye meri kismat
roz sawarna hai roz bikharna hai
mujhko zamane se ab nahi darna hai
pyaar me jeen hai pyar me marna hai

is bhare sheher me hum



is bhare sheher me hum kidHar jAyenge...
tum sahara na doge to mar jayenge...
aap ruswaiyo se jo dar jayenge..
aayene ki tarah hum bikhar jayenge.. 
humko pardes me ab na roko Saba 
dil pareshaa'n hai apne ghar jayenge
tum sahara na doge to mar jayenge...

                                                             

mujh tak kab unkee


mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne  kuchch mila  na  diya ho  sharaab meiN

hain aur bhee duniya mein....


                            hain aur bhee duniya mein sukhanwar bohot achche
                               kehte hain ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur

Friday, October 28, 2011

Tumhare shahar ka mausam...


Tumhare Shahar ka mausam bada suhana lage
                                mai ek shaam chura loon agar bura na lage
                              Tumhare bas me agar hai to bhool jaao hame
                             tumhe bhulane me shayad hame zamana lage 
                                 jo doobna hai to Itane sukoon se doobo ke
                                  aas paas ki leharo ko bhi pata na lage

aadmi aadmi se milta hai



aadami aadami se milta hai
                                         dil magar kam kisi se milta hai

                                         bhool jata hoon mai sitam us ke
                                         vo kuchh is saadagi se milta hai
                                          aaj kyaa baat hai ke phoolo ka 
                                             rang teri hansi se milta hai
                                             mil ke bhi jo kabhi nahi milta
                                              Toot kar dil usi se milta hai

Jaan le na koi


Jaan Le Na Koi Haal-E-Dil Is Darr Se
                                 Bewajah Muskurane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Apne Chehre ke...


Apne Chehre ke kise Daag nazar aate hain
                                 Waqt har Shakhs ko aayina dikha deta hai

Rahegi yaad hume...


Rahegi yaad hume us ki khush mijazi bahut..
                               Mila jab bhi to khush fahamiyo me daal gaya

Tuesday, October 25, 2011

Tere firaaq ke lamhe

Tere firaaq ke lamhe shumar karte hoye
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye
To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de,
Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye
Main Muskurata hua Aaine mai ubhrunga,
Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye
Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,

Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye
Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mein,
Main un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye

Pal main doori ho jati hai.........


Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khwahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Kisi ke roke kabhi........


Kisi ke Roke kabhi, Rukta nahi yeh Dil
Kabhi Dariya to kabhi Hawa, lagta yeh Dil
Aapke supurd ho gayi, zindagi ki khilkhilahat
Aapki aahton per ab, machlta hai yeh Dil
Kuchch na soche, na samjhe kuchch bhi
Pani ki dhaar sa allahd sa, chalta yeh Dil
Kabhi asaani se na ho saki, hasil Mohabbat
Soch yeh baat machal, aag sa badhtaa yeh Dil
Yakayak yun hi kabhi koi, kahin jata hai mil
Na jane hota hai kya ki, mil khil jate do Dil
Aap bhi soch me meri, shamil hain hardam
Aap ko soch kar likhta hai, hamesha yeh Dil

Rona chaha to sitaron....

Rona chaha to sitaron ne taslli di
Sona chaha to teri yaad ne sone na diya
Dil me dhdkan ki tarah aankh me aanson ki tarah
Sona chaha to teri yaad ne sone na diya
Tum mere paas raho phoolon me khushboo ki tarah

Bhool jana tha to.....

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha

Ankhon e door....

Ankhon se door hone ka koi gila nahi
Dil ke bouhat qarib ho kuch fasila nahi

Yaad rakho to dil ke paas hoon main
bhool jao to fasile hain bouhat

Mita do naam tak mera kitabe zindagi se tum
Magar pal pal roolayegi stayegi kami meri

Mujhe aazmane wale...

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Sunday, October 9, 2011

Meri Khushiyon ke lamhe....

Meri khushion ke lamhe itne mukhtasir kyun hain faraaz..
ye guzar jate hain mere muskurane se pehle hi...

Thursday, October 6, 2011

Zubaan kehti hai..


Zubaan kehti hai ki sara qusoor uska tha ,
zameer kehta hai ki kuch zimmedar mai bhi hun..

Qareeb aao..


Qareeb aao to shayad hamein samajh loge.. 
yeh fasle to ghalat fehmiyan badhadeN ge...

Tuesday, October 4, 2011

Dil ki hasrat adhuri reh gayi....

Dil ki hasrat Adhuri reh gayi,
jaane kaun si Majburi reh gayi.

Saare lafz chura le gaya koi,
Zuban pe sirf khamoshi reh gayi.

Usne daman gair ka thaam liya,
Nazar meri dekhti reh gayi.

woh chodh kar chal gaya mujhe,
shayad pyar main koi kami reh gayi.

Baithe hain tanha...

Baithe Hai Tanha Kisi ki Aas Me,
 kuchh nahi yaadon Ke alawa paas me... 
Sochte hain kya hua jo koi nahi karib humare,
 Registan bhi to jeeta hai barsaat ki Aas Me..

Mujhe apne haathon ki...



mujhe apne hathon ki sab ungliyon se pyar hai....
Najane kis ungli ko pakad kar mere maa-baap ne mujhe chalna sikhaya...

Thursday, September 29, 2011

Tumhari yaadon ke chand...

Tumhari yaadon ke chand aansoo humari aankhon mein pal rahe hain !
na jaane kaise hain yeh musafir na ruk rahe hain na chal rahe hain !!

hum apni rooh.....


     Hum apni rooh tere jism me hi chhod aaye,
    Tujhe gale se lagana to ek bahana tha.

Ashaar mere yuun to Zamaane ke liye hain.

ash-aar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahin thik ki har dard mita dein
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanto'n se chubhenge
ye khwaab to palako'n pe sajaane ke liye hain

dekhu'n tere haatho'n ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahazib badan ki
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ek shakhs ki yaado'n ko bhulaane ke liye hain



                                      (Bhavesh Ajudiya)

Maine Poochha rooh nikalti hai jism se kis tarha ?

Maine Poochha rooh nikalti hai jism se kis tarha ?
Haath usne haathon se chhuda kar dikha diya !

Maine Poochha mehshar se pehle qayamat hai kya ?
Zindagi se usne meri ja kar dikha dia !

Maine Poochha ke ye hasad hai kya cheez ?
Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia !

                    
                                              (Bhavesh Ajudiya)

Tuesday, September 20, 2011

Log padh lete hain chehre se kahani Dil ki..

Log padh lete hain Chehre se kahani DIL ki,
Aap ko ati nahi baat Chupani DIL ki,
Lamhe-Lamhe tere didar ki Hasrat hai,
Chodiye ye to Adat hai Purani DIL ki,
Maine Dhadkano ko bhi Seene main Chupa rakha hai,
is kader humne sambhali hai Nishani DIL ki,
Ankhen kuch kehati hain Lab kuch kehate hain,
Itni Aasaan nahi her baat chupani DIL ki,
Log her Baat ka Afsana bana dete hai,
Sab ko acchi nahi ye Baat Batani DIL ki......

Sunday, September 18, 2011

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna

Tum rooth jao mujhse aisa kabhi na karna,
main ek nazar ko tarsoon aisa kabhi na karna,

main pooch pooch haroon sau sau sawal karke,
tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna,
mujhe he milkar hasna mujhe he milkar rona,
mujhse bichadh ke jeelo aisa kabhi na karna,
tum chand ban ke rehna main dekhta rahunga,
kisi roz tum na nikalna aisa kabhi na karna,
tum chali jao to dekhun tmhara raasta,
tum laut kar na aao, aisa kabhi na karna...

Saturday, September 17, 2011

Nazuk mizaj hain wo itna....

Nazuk” Mizaj Hain wo itna k kuch na puchiye
“suna” hai unhay neend nahi ati apni dharkano’n k shor se

Friday, September 16, 2011

Dilkashi dekh kar is Zamane ki..

Dilkashi dekh kar is zamane ki, hame bhi aarju thi kuch kar dikhane ki,
magar e gume dil tum naraj na hona, kyunki hume to aadat hai bas yo hi muskarane ki.
tumne kabhi kosish hi nahi ki hume manane ki, or zid hamne bhi kar li tumse ruth jane ki,
or rishto ke mayno ko bhala tum kya jano, kyunki tumhe to aadat rahi bas mujhe yo hi aazmane ki,
teri yaadon ko kar chuka hu is dil se rukhsat, mujhe bhi chahat nahi hai ret per apna ghar basane ki.

Tuesday, September 13, 2011

DIL Banane Wale Dil Kanch Ka Bnaya Hota.....

DIL Banane Wale Dil Kanch Ka Bnaya Hota,
Todne Wale K Hath Me Zkham To Aaye Hota..
Jab Dekhte Wo Apne Hath ko Kabhi
Unko Hamare Khyal To Aaya Hota...




Sunday, September 11, 2011

Gairon ko apna kartey kartey , apno se door hogaye....

Gairon ko apna kartey kartey , apno se door hogaye....
Ye kis kadar hum khud apne aap se majboor hogaye...
Koi bata dey humein raasta apne ghar ka zara............
Ye kis tarah hum khud apne raahon se anjaan hogaye...
Saanson ki rawani ko zindagi kehte kehte , lo hum dhadkano se door hogaye...
Gairon ko apna kartey kartey , apno se door hogaye.. !!!





                 

Nikalta hi nahi unka wajood meri yaad sey

Nikalta Hi Nahi unka Wajood meri Yaad Se ,
Mil kyun Nahi Jata Akhir vo Kisi Fariyad Se ,
Kya Zaroori Hai Mai Roz Toot K Bikhra Karu ,
Na Le Mera Imtehan Is Andaz se ..........




Saturday, September 10, 2011

Chehre per muskurahat

Chehre per muskurahat aa jati hai . .
Akhon me suroor cha jata hai . . .
Jab tum mujhe apna kehte ho to . . .
Apne me gurur aa jata hai . . !


                                       

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi.

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi..Jeeney Ki Aadat Hogayee,
Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne..Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye,
Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney,
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye,
Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke,
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee ,
Kaafile Nikal Gaye Humey Chhor Ke,
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan,
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Hogayee...







                                        

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...